Thursday, April 4, 2013

Yaadein..



Leker chal raha hoon ek farebi aarzoo dil mein..
Har ek yaad ko simat ke rakh loon is pal mein..
Woh tere saath bitaya hua har lamha..
Qaid karke rakh loon is dhadkan mein..

Yeh bite kuch saal ab sadiyan lagne lagi hain..
Unhe yaad karke ab aakhen bharne lagi hain..
Is yaadon ke sailaab ko behne do zara..
Kyunki ek-ek karke yeh saari yaadein jalne lagi hain..

Bahut pyaar se rakha hain sambhal ke .. Aur ab yeh saari tootne lagi hain..
Saari kahaniyan jo inme bandhi hain.. woh khulne lagi hain.
Soch kar un kahaniyon ko .. kabhi hassne laga hoon..
Ek-ek karke un saari yaadon ko main ab bhoolne laga hoon.

Un purani yaadon ko bhulate hue nayi yaadein bana raha hoon..
Un saare kisso ko bhulake .. ab ek nayi kahani mein uljha hua hoon..
Uljhano mein yeh waqt bhi nikal jayega..
Lekin phir teri yaadon ko soch kar.. dil dhadak sa jayega..

Altaf